Hello, dosto mai Ravi Thakur, apni website misterkaise me apka welcome karta hun. dosto agar apke pass pan card or aadhar card dono hai. Tab ye post apke liye bahut hi kam ki hai (PAN Card Ko Aadhar Se Kaise Link Kare?). Kyuki is post me mai apko batane wala hun, ki aap kaise online ghar baithe apne mobile ya computer kisi se bhi apne pan card ko apne aadhar card ko link (jod) skte hai (How To Link Pan Card With Aadhar Card Online?).
Dosto, abhi hal hi mai income tax department ne pancard ko aadhar card se link karna compulsory kar diya. kyuki bahut se log ek se jada pancard bana kar scam kar rhe hai or income tax dene se bach rhe hai. esliye income tax department ne ye kadam uthaya hai. ab har insan ko jiska pancard hai. use apna pancard apne aadhar card se link karana hoga (how to link pan card with aadhar card in hindi).
Aaj ki is post me isi topic par bataane wala hun. dosto pancard aadhar card se link krana bahut asan hai. Ye kam aap apne mobile, computer ya laptop kisi se bhi kar skte hai only 1 se 2 minutes me. apko nichhe diye kuchh simple se steps follow karne apka pancard adhar se link ho jayega.
- You May Also Like: How to Download PanCard Online
PAN Card Ko Aadhar Se Kaise Link Kare?
- Dosto, sbse phle ko income tax department ki official website par jana. Eske liye apko google par e-filing likh kar type karna hai. Nichhe mai website link bhi diya hun aap baha se click kar ke bhi direct income tax ki website par ja skte hai.
- Eske bad home page par apko bahut sare quick link show rhe hoge. left side me apko ek option link aadhar card ka mil jayega. apko is option par click karna hoga.
- Eske bad apke samne ek form open ho jayega. jisme apko apna PAN CARD NUMBER, Aadhar card Number, Aadhar card par jo name hai bo name and agar apke aadhar card pr only birth or year likhi mtlb date or month na likha tab apko nichhe ek box hoga us par check kar dena ha.
- Eske bad apko nichhe box me I agree pr check kar dena. or nichhe jo CAPTCHA hai. use dal kar link adhar click kar dena hai. jaisa ki nichche image dikhaya gya hai. jaisa ki nichche dikhaya gya hai.
- Jaise aap link aadhar card pr click karege baise hi apki request submit ho jayegi. or kuchh time bad apke jo details di use verify karne ke bad apka pan card apke aadhar card se link ho jata hai.
Pancard aadhar card se link hai ya nhi kaise pata kare?
Dosto agar apne pancard ko aadhar card se link krne ki request sent kar di, tab aap jaana chahate ki aap aapka pan card aadhar se link huaa hai ya nhi abhi tak. ya aapko pata nhi ki apka pancard aadhar se link hai ya nhi, ab aap check krna chahate hai. tab apko nichhe diye steps follow karna hai.
- Apko sbse phle income tax ki official website par jana. website ka link uppar diya hai.
- Eske bad apko link aadhar par click karna hai.
- Iske bad ek form open hoga or form ke upar apko likha mil jayega “click here to view the status if you have already submitted link aadhar Request” is apko click karna hai.
- Eske bad apke samane ek form aayega usme apko apna PAN CARD NUMBER and Aadhaar card number dal kar view link aadhar status pr click kar dena hai.
- Jaise aap click krege apne samane status aa jayega. agar apka pancard link hai tab jis aadhar card se link hai uske last 4 digit dikhayega. Agar link nhi hai tab red colour me error show hoga. tab aap uppar batai gai process se apne pancard ko aadhar se link kar skte hai.
Tab dosto, Main apko puri process bata di hai ki PAN Card Ko Aadhar Se Kaise Link Kare? Umeed karta hun apko ye post pasand aai hogi. Agar post pasand aai hai tab ise like share jarur kare sath hi aap mujhe youtube pr follow kar skte hai. Eske ilva apko koi iske relative me apka koi sabal hai tab aap mujh se comment karke puchh skte hai. THANK YOU