Mobile Se SBI Debit Card Block Kaise Kare

Kya aap janana chahate ki Mobile Se SBI Debit Card Block Kaise Kare ( block sbi debit card by sms ). Hello, dosto mai Ravi Thakur apni website Misterkaise me welcome karta hun. Dosto agar apka atm card sbi bank ka hai or apka debit card kho gaya hai ya aap kisi wajah se apna sbi atm card block karna chahte hai. Tab ye post apke liye bahut kam ki hai kyuki aaj ki  post me mai apko yhi batane wala hun ki aap sbi atm card kaise block karege.

SBI Debit Card Block

Dosto agar apka sbi atm card kho gaya hain. Tab apko use block kra dena chahiye jisse koi uska misuse na kar paye. Card block karane ke liye apko bank branch me jane ke jarurat nhi hai. Aap ghar baithe bus ek message bhej kar apna sbi atm card band kar sakte hai. Eske liye apko koi charge nhi dena bilkul free service hai. Niche puri process di gai.

 

The requirement to block sbi Debit card

Friends sbi atm card sms ki help se band karne ke liye apke bus do chije hona cahaiye jo niche di gai hai.

  1. Bank Account se jo phone number registered hai bo phone number apke pass hona chahiye. Kyuki usi number se apko sms bhejna hoga. Agar apke bank me koi phone number registered nhi. Tab apko phle bank me ja kar phone number update Karana hoga.
  2. Apke pass jis atm card ko block kr rhe ho uske last 4 digit hona chahiye.

 

SBI Debit Card Block By SMS

Dosto sbi debit card sms se block krne ke liye apko do step follow karne hai. Dono step maine niche diye hai details me

STEP 1: Sbse phle apko sms bhej kar apna jo bank me link phone number hai. Usko sbi sms service ke registered karana hoga. Ye only ek bar hota hai uske bad aap sabhi sbi SMS service ka fayeda utha skte hai. Agar apne phle hi registered kar rkha tab apko dubara karni jarurat nhi apko direct step 2 follow karna hai. Niche diya gya hai aap kaise sms se phone number registered kara skte hai

How to register phone for sbi SMS service

STEP 2: Friends ab apko ek new sms type karana hain. SMS me apko capital latter me BLOCK likh kar ek space dena hai. Uske bad apko LAST 4 DIGIT ATM CARD ke likh dena hain. Uske bad apko bank me registered number se niche diye gaye number ( state bank of India atm block number ) pr is sms ko sent kar dena hain.

 BLOCK <space> Last 4 digit ATM Card 

 sbi atm block toll free number: 567676 

SMS bhejne ke bad apke pas bank ki traf se ek sms ayega usme bataya jayega ki apka debit card successfully block kar diya gya. Agar nhi huaa block to uske reason batya jayega ku nhi block huaa hai apka debit card. Ye sabhi details apko sbi bank apko sent kr degi.

Tab dosto aap is trah se apna sbi debit card block kar skte hain. Umeed karta hun apko smjh aa gya hoga iske ilava apka koi question hain. Tab aap mujh se comment krke puchh skte hai THANK YOU

 


 

SBI Debit Card Block Kaise Kare Video Tutorial

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Scroll to Top

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading