How to Online Complaint in State Bank of India in Hindi

Do you want to Online Complaint in State Bank of India then you are on the right place. Hello, dosto mai Ravi Thakur apni website Misterkaise me apka welcome karta hun. Dosto agar apka bank account state bank of India me hai or apki koi banking se relative problem hai. Or bo problem bank me bar-bar jane ke bad bhi solve na ho rhi hai. Sbi bank staff apko paresan kar rha hai, apki koi help na kar rha hai. Tab ye post apke bahut kaam ki hai kyuki aaj ki post me mai apko bataoga ki aap kaise online sbi bank me complaint kar skta hai. Jisse apki jo bhi problem hai bo jald se jald slove ho Jaye. (Online sbi complaint kaise kare).

Online Complaint in State Bank of India

Friends aap ghar baithe apne mobile, computer, laptop Kisi ki help se sbi bank me online sikayat kar skte hai. Bus apko kuchh steps follow karne jo Maine niche apko bataye. Complaint hone ke bad sbi bank apki banking relative problem ko 7 business days ke ander solve Karne ka vada Karta hain.

Sbi online complaint registration

 Aap niche diye kuchh simple steps follow karke sbi online complaint registered kar skte hai.

  • Sbse phle apko sbi bank ki official website par jana hai. Website ka link niche diya gya hai.
[button-green url=”https://bit.ly/2yTdfy8″ target=”_blank” position=”center”]Official Website[/button-green]
  • Iske bad apko right me top par customer care ka option mil jayega. Us option par apko click Karna hai.
  • Eske bad apko compliments & complaint par click karna hain.
  • Iske bad apko Customer Request & Complaint form par click karna hai. Jaisa ki niche di gai image me dikhaya gya hain.

Sbi Customer Request & Complaint form

  • Eske bad apke samane ek pop-up windows open hogi usme 4 category likhi hogi. Agar apki complaint un 4 di gai category me se hai, tab apko usi page ke niche blue color me link mil jayega. Us par click karke apni complaint dal skte hai. Lekin agar apki complaint un 4 category me se nhi hain. Tab apko niche diye OK button par click karna hani.
  • Iske bad apko do option mileage, phle option me apko raise complaint select karna hain. Second option me apko others ko select krna hai. Eske bad apko submit par click kar dena hai. Jaisa ki niche image me dikhaya gya hain.

online sbi complaint kaise kare

  • Eske bad apko apna sbi bank account dalna hai (jis bank se relative apko problem hai bo wala account number). Account number dalne ke bad sent OTP par click karna hai. Apke bank me registered phone par complaint krne ke liye ek OTP ayega. Use dal kar validate OTP par click Karna hai. Jaisa ki niche image me dikhaya gya hain.
online complaint sbi bank
  • Ab apke samane sbi online complaint form open ho jayega. Es form ko apko bilkul sahi se bhar lena hain. Or 500 word me apni jo bhi complaint hai bo likh dena hain. Agar aap form kaise bharna ye sikhana chahte hain tab apko niche ek video me mil jayegi us video ko dekh kar aap bahut asani se sbi complaint form bhar skte hain. Jaisa ki niche image me dikhaya gya hain.
sbi online complaint form
  • Complaint form pura bharne ke bad apko niche submit button par click karna hain.
  • Eske bad apke phone par case number (sbi complaint number ) sent kar diya jayega. Jiski help se aap sbi customer care se bat karke apni complaint ka status jan skate hain.

 

Tab dosto aap is trah state bank of india me apni complaint dal skte hain (Online Complaint in State Bank of India). Complaint padne ke bad bank wale apko khud bulayege or apki jo bhi problem hai use solve karege. Umeed karta hun apko smjh aagya hoga. Fir bhi apka koi question hai isse relative me tab aap mujh se comment karke puch skte hai. THANK YOU

Online Complaint in State Bank of India video tutorial

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading

Scroll to Top