Kya aap janana chahate ki Axis Bank Ka Mini Statement Kaise Nikale ? ( Axis bank mini statement ) Namaskar doston main Ravi Thakur apni website tecnoravi.in, me aapka welcome karta hun. Friends Agar aapka bank account Axis Bank mein hai aur aap Ghar Baithe apne mobile ki help se message bhej kar or missed call Maar kar Apne account ka mini statement nikalna chahate Hai.
Tab dosto yah post aapke liye bahut hi kam ki ho sakti hai Kyunki aaj ki post main esi topic per baat karne wala hun. Isliye post ko pura padhiye, Agar aapko post Pasand aati hai to post ko like bhi Kijiye Apne doston me share bhi Kijiye jisse Aur bhi log is post ka fayda Utha sake.
Friend Axis Bank mein mini statement check karna bahut hi Aasan Ho Gaya, aapko Kahin bhi Bank Branch mein jaane ki jarurat nahin hai na hi aapko ATM machine per jaane ki jarurat hai kyunki aap Ghar Baithe hi Apne bank me registered mobile number se a Ek SMS bhej kar yah Ek missed call Maar kar Apne account ka mini statement nikal sakte hain. Iske liye maine Puri process niche aapko bataiye, Jaise maine aapko bataya hai aapko baise hi sabhi step follow karna hai.
You May Also Like:
Axis Bank Ka Mini Statement Kaise Nikale ?
Axis Bank Me mini statement nikaalne Ke Liye Do process hai. Pahla method SMS ki help se aur dusra method Hai missed call ki help se. Dono hi method maine aapko niche bataen aapko jo bhi method Achcha lagta hai aap uska use kar sakte hain.
Axis bank mini statement by sms
Is method mein aapko, apne bank se link mobile number se ek sms send karna hoga. SMS send karne ke liye aapke registered mobile number me Kuchh Na Kuchh balance Hona chahiye Kyunki Yahan per SMS bhejne per special charge (1 se 2 rupay)lgta Hai. SMS me aapko “MINI” likhna Hai capital latter me iske bad aap ko ek space dena hai. Uske bad aapko Apna Pura Bank A/c number likh dena hai. Fir is SMS ko niche Diye Gaye bank number per bhej dena hai.
MINI <Space> Account Number
Sent to 918691000002 or 56161600
Axis bank mini statement by missed call
Is method mein aapko Apne bank se link mobile number se bus ek missed call krni hai. Doston aap ko missed call jis number per krni hai bo number niche Diya Gaya Hai Jaise doston aap is number per call karenge uske bad 1 – 2 ball Jayegi aur call automatic cut ho jayegi Uske bad aapko thoda wait karna aur kuchh time bad Bank ki taraf se aapke mobile number per SMS aaega usmein aapke a/c ka mini statement likha hoga.
Axis mini statement number: 1800-419-6969
Tab Dosto Is trah se aap axis account se statement nikal sakte hain ummed karta hun apko pura process smjh aa gya hoga. Agar esse realative me apka koi question hain tab aap mujh se comment karke puchh skte hain. Thank you
[button-green url=”https://filezonic.com/axis-app-free-download/” target=” _blank ” position=”center”]Official App[/button-green] [button-red url=”https://bit.ly/36I6pss” target=”_blank” position=”center”]Official Website[/button-red]