BOB Mobile Banking De-Registration Kaise Kare?

Do you want to Deregistration BOB Mobile Banking (BOB World) – BOB Mobile Banking De-Registration Kaise Kare? tab aap sahi website par aaye hai kyuki aaj ke article me esi topic par bat karne wala hun. Namaskar doston Mera Ravi Thakur tecnoravi.in aapka welcome karta hun. Doston agar aap jo hai bank of Baroda ki Mobile Banking application ka use karte hain aur ab Aap Jo Hai Bob world app ko deregistered karna chahte haintab yah post aapke kam Ki Hai. Kyunki aaj ki post Me bank of baroda mobile banking ko deregistered karne ka pura process batane wala hun isliye is post ko last Tak padhiye. thank you

BOB Mobile Banking De-Registration Kaise Kare

Friends aap Bank of Baroda ki application ko char tariko se de-registered kar sakte hain. Sabhi charo method Ko Maine niche likh diya hai. Aap inmein se Kisi Bhi Ek mein tarike ka use Karke bob app ka de-registration karne ke liye.

1. Via Direct Bank of Baroda branch

2. Via Bank of Baroda net banking

3. Via nearby B.O.B ATM machine

4. Via B.O.B mobile banking application

Aaj ke article Me Main aapko 3rd method batane wala hun. Aapko bus step follow karne hai jo aaj ki post Me Main aapko bataunga. Jaise hi aap sabhi step follow kar lenge aapka B.O.B mobile banking se deregistration ho jaega. Niche Sabhi step likhe hue hain.

 

How to Deregister BOB Mobile Banking By ATM?

1. Sabse pahle aapko bank of baroda ke kisi bhi nearby ATM machine per jana hai. Uske bad aapko ATM machine Me Apna debit card ko Lagana Hoga.

2. Iske bad aapke Samne language select karne ke liye poochha jaega. Aapko Hindi ya English me Se Kisi Ek language ko select karna hoga. Jaisa ki niche image Me dikhaya gaya hai.

BOB Mobile Banking De-Registration

3. Nextstep me aapko apne debit card ki 4 number ki jo pin hai usko enter karna hoga. pin ko enter karne ke liye apko enter pin option per click Karna hoga. Jaisa ki niche image Me dikhaya gaya hai.

BOB Mobile Banking De-Registration

4. Jaise hi Aap Apne debit card ki pin ko enter Karte Hain. Uske bad aapke Samne bahut se options aa Jaenge Un options me se aapko “m connect mobile banking” option ko select karna hoga. Jaise ki niche image me aapko dikhaya gaya hai.

Deregistration BOB Mobile Banking

5. Next step me aapke Samne do option aaenge unme se aapko “de-registration” wale option per click karna hoga. Jaisa ki aap niche image Mein dekh sakte hain.

Deregistration BOB Mobile Banking

6. Iske bad aap ko 10 digit ka mobile number enter karna hoga. Mobile number Yahan per aapko vah enter karna hai jo aapki Bank account Me registered Ho tabhi doston Yahan per aapka verification successful hoga. Jaise Ki aap niche image Mein dekh sakte hain. Ek bar mobile number enter karne ke bad aapko Dobara se confirm karne ke liye apne mobile ko enter karna hoga. Aapko dono barsame mobile number ko enter karna hai.

Deregistration BOB world

7. Iske bad aapko, apne bank account ka type ko select karna hoga ki aapka Bank account current account hai ya saving account hai to Aapka jo bhi account hai usko Aap Yahan per select kar lenge. Jaise ki aap jo hai niche image Mein dekh sakte hain

Deregistration BOB world

8. Jaise hi Aap apne account ka type select Karenge aapka bank of Baroda mobile banking se De registration successful ho jaega. Aapke mobile number per confirmation message bhi a jaega. Niche Diye Gaye image me aap dekh sakte hain.

Deregistration BOB world

Iske bad aap bob application ko apne mobile se Uninstall kar sakte hain aur Chahe to doston ab Aap dusre mobile mein application ko Dobara se install krke registration kar sakte hain.

 

 

Tab doston Is Tarah Se aap jo hai Bob World App se de-register kar sakte hain (BOB Mobile Banking De-Registration Kaise Kare?). Maine aapko pura process Bata Diya Hai. Ummid karta hun aapko samajh mein a Gaya hoga. Esse relative me aap koi bhi other Jankari Chahte Hain ya Kuchh Bhi puchna Chahte Hain tab aap mujhse comment Karke poochh sakte hain. Main aapke comment ka reply karne ki puri koshish karunga aur aapko agar yah artical Pasand Aaya ho tab aap isse jyada Se Jyada share kijiye. thank you

BOB Mobile Banking De-Registration Kaise Kare?

1 thought on “BOB Mobile Banking De-Registration Kaise Kare?”

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading

Scroll to Top