How to check linked mobile number with pan card in hindi

Dosto agar Janna Chahte Hain ki aapke PAN card se kaun sa phone number link hai (how to check linked mobile number with pan card) tab yah post aapke liye bahut hi kam ki ki hain. Kyunki aaj ki post me main isi topic per baat karne wala hun. Doston aaj ki post Me Main aapko bataunga ki aap kaise check kar sakte hain ki aap ke Pancard se kaun sa phone number Juda Hua Hai isliye is post ko pura padiye.

how to know which mobile number is linked with pan card

Agar aap bhul gaye ya aapko yad Nahi Hai ki aapke Pancard se kaun sa phone number link hai. Tab friends aapko pareshan hone ki jarurat Nahi Hain kyunki aaj ki post padhne ke bad aap Badi aasani se yah check kar Payenge ki aapke Pancard se kaun sa phone number Juda Hua Hai. Niche maine Puri process batai hai, aapko bus usko carefully follow karna hain jisse apki jo query hai ki “Pancard se kon sa mobile number link hai kaise pata kare” yah solve ho jayegi.

You May Also Like: How to check pan card status online in Hindi

How to check linked mobile number with pan card?

Sabse pahle aapko Pan card ki government ki official website per jana hai. Website per jaane ke liye aapko apne mobile, laptop ya jo bhi aapki device Hai usme ek browser app ko open karna hain.

Browser open karne ke bad aapko search bar me tin-nsdl ko tyep krke search karna hai. Iske bad aapko first result me hi tin-nsdl.com name ki website dikhai Degi, us per aapko click Karke us website open kar lena hai. Dosto is website ka direct link, Maine niche Diya Hain. Aap use per click Karke bhi direct website per Ja sakte hain.

 

Dosto website open hone ke bad aapke Samne Kuchh popup message ayenge un message ko aapko close kar dena hai. Iske bad website ke dashboard per hi left side me aapko “Quick Links” ka menu dekhega jisme aapko “PAN – New facilities” ka ek option Milega use per aapko click karna hai. Jaisa ki aap niche Diye Gaye image Me dekh sakte hain.

Pancard se kon sa mobile number link hai kaise pata kare

Iske bad aapke Samne bahut Sare options open Honge jisme se aapko “Reprint Pancard” wale option per click karna hoga. Jaisa ki aap niche Diye gaye photo me dekh sakte hain.

You May Also Like: How to remove number from truecaller in Hindi

how can i know my mobile number link in pan cardhow can i know my mobile number link in pan card

Doston Iske bad aapke Samne ek form open hoga, jisme aapko apni kuchh personal details fill karna Hogi. Uske bad hi Aap Apne Pancard ki details dekh Payenge.

Form Me sabse pahle aapko apna Pancard number dalna hai.Iske bad aapko apna Aadhar number bhi isme bhrna hoga. Uske bad aapko apni date of birth ko select karna hai.

Last me aapko Ek GSTN number dekhne ko milega jo ki optional hai, use aap skip bhi sakte hain. ab aapko I understand per check kar dena hai, niche aapko captcha dekhne ko Milega Jisko fill karna hai aur uske bad aap ko submit button per click kar dena hai. Jaisa ki aap niche Diye Gaye image Me dekh sakte hain.

how to check linked mobile number with pan card

Friends Jaise hi aap submit button per click Karte Hain. Aapke PAN Card se link jo bhi Jankari hai wo aapke Samne aa Jayegi jaisa ki aap niche image Me dekh sakte hain. Sabse pahle aapko PAN Card number dekhne ko milega uske just nichhe apko mobile number dekhne ko milega.

Dosto yah vahi phone number hai jo aapke Pancard Se Juda Hua Hai, yaha per aapko apna mobile number pura dekhne Ko Nahi Milega lekin aap phone number ke last 4 digit dekh skte hain, jisse aap ek andaja (guess) Laga tha ki aap ke Pancard se kaun sa phone number link hai. Niche aap apni email id aur other personal details jo aapki Pancard se link use dekh skte hain.

how to check linked mobile number with pan card in hindi

Tab dosto Is Tarah Se aap Jaan sakte hain ki aapke Pancard se kaun sa number link hai (how to know which mobile number is linked with pan card). Maine aapko pura process Bata Diya Hai, ummid Karta hun aapko process samajh me a Gaya Hoga. Fir Bhi isse related aap koi bhi Jankari Chahte Hain ya aapka koi question hai to aap mujhse comment Karke pooch sakte hain. Main aapke comment ka reply karne ki puri koshish karunga.

Agar aapko yah article Pasand Aaya Hai tab aap is article ko Jyada Se Jyada apne dosto me share kijiye aur humse jude rkhne ke liye or isi type ke artical aage bhi padhne ke liye aap Hume subscribe bhi kar sakte hain. Aap Hume Instagram, Facebook. and YouTube per follow bhi kar sakte hain. Thank you

How can I know my mobile number link in pan card video tutorial

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Scroll to Top

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading