Axis Bank Account E-Statement Download Kaise kare?

Kya Aap Janana Chahate hain ki Axis Bank Account E-Statement Download Kaise kare? Namaskar doston mai Ravi Thakur ek Bar fir se apni Website tecnoravi.in me apka welcome karta hun. Friends Agar aapka bank account Axis Bank me hai aur aap Ghar Baithe apne mobile ke dwara Ek SMS ke bhej kar apne account ka statement download krna chahate hain. Tab ye post aapke liye bahut hi kam ki ho sakti hai kyunki aaj ki post Me esi topic per baat karne wala hun ki aap kaise, apne mobile se ek SMS bhej kar Axis Bank Account statement download Karenge. Esliye post ko pura padhiye.

Axis Bank Account E-Statement Download Kaise kare?

Friends ab aapko Axis Bank ka statement download karne ke liye Bank Branch mein Jaane Ki need Nahin Hai Aur na hi doston ab aapko net banking/ATM/Mobile App ki need hain. Kyuki Ab aap apne A/c Me registered mobile number se hi Bank ka statement nikal sakte hain. Apne a/c ka aapko statement Kaise nikalna hai uski full process aaj ki post main bataya hun. Simply aaj ki post mein jo step main aapko bata raha hun usko aapko follow karna hai aur aap bhi Badi aasani se Apne account ka statement nikal Payenge (Axis Bank Account E-Statement Download Kaise kare).

 

Requirements for Getting Axis E-Statement

Friends aapko Aise Bank Mein statement nikalne ke liye ye Kuchh chijon ki need Hogi Jo niche main aapko bataya hun.

  • Bank account mein registered email ID
  • Bank account mein registered mobile number

How To Register Email Id in Axis Bank?

Agar aapke A/c se a koi si bhi email ID registered Nahin Hai. Tab is condition mein aap ek SMS ko bhej kar Apne A/c se ek email id registered kar sakte hain. Email id registered karne ki process niche main aapko bataya hun aapko usko follow karna hai. Yaha par sms ko apne bank me link phone number se hi bhejna hain.

 GREEN <space> EMAIL ID 

 Sent to 918691000002 or 56161600 

How To Update Email Id in Axis Bank?

Agar aap ki pahle se Bank mein koi email ID registered hai aur aap use update/change karna chahte hain tab yah bhi kam aap, apne registered mobile number se ek SMS ke bhej karab kar sakte hain. Aapko kaise email id ko update karna iski Puri process niche main aapko bataya hun.

 UPDATEM <space> EMAIL ID 

 Sent to 918691000002 or 56161600 

 

How to Get E-Statement in Axis Bank Via SMS?

Axis bank se statement nikalne ke liye niche Diye Gaye SMS format mein aapko Ek SMS likhna hai aur us SMS ko aapko niche Diye Gaye number per apne registered phone number se bhej dena.

 ESTMT <space> Last 5 Digits of A/c  <space> From Date <space> To Date 

 Sent to 918691000002 or 56161600 

SMS bhejne ke bad aapko thoda wait karna hai. Kuchh time Baad, Bank ki taraf se aapke registered email id per aapka a/c ka statement bhej diya Jaega. Uske baad email id se aap Badi aasani Se Apne a/c ka statement download kar Payenge.

Tab doston ab aap ko pata chal gaya Hoga Ki “Axis Bank Account E-Statement Download Kaise kare?” Maine aapko Puri process Bata Di hain, ummid karta hun aapko process smjh aa Gai Hogi Fir Bhi is topic se relative aap koi bhi Jankari Chahte Hain ya Kuchh Bhi puchna Jaate hai to aap mujhse comment kar puchh sakte hain. Agar aapko yah post Pasand aai hai to Jyada Se Jyada is post ko share Kijiye aur Aage Bhi esi type ki post padhne ke liye aap Hamen Hamare YouTube channel “Techno Gyan” per Subscribe kar sakte hain. Thank You

Note: Dates in dd-mm-yyyy format

 

 

Axis Bank Account E-Statement Download Kaise kare Video Tutorial

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading

Scroll to Top