Are you want to download electricity bill online in up, Hello, dosto mai Ravi Thakur apni website tecnoravi.in me apka welcome karta hun. Dosto agar aap ghar baithe apne mobile ya pc se online bijli ka bill dekhna ya download karna chahte hai. Tab ye post apke liye bahut kaam ki hai kyuki aaj ki post me mai up me light bill download karna bataya hun ( bijli ka bill mobile se kaise check kare).
Friends agar aap up me rhte hai or aap apne bijli ka bill online bharna ya dekhna chahate hain (bijli ka bill online kaise bhare). Tab apko bijli vibhag me line me khade hone ki koi jarurat nhi hai. Aap apne ghar baithe hi online light ka bill pay kar skte hai or dekh bhi skte hai. Eske liye niche puri process bataya hun. Apko bus niche diye step ko follow karna hai.
You May Also Like:
Follow Steps to download electricity bill online in up
- Dosto sbse phle apko niche diye gaye link par click karna hai. Jisse aap direct up bijli vibhag ki official website par pahuch jayege.
- Eske bad apke samane niche di gai image ki trah interface hoga. Apne bijli ka bill check karne liye apko apna bijli connnection ka ACCOUNT NUMBER dalna hai ya aap apna Registered PHONE NUMBER bhi dal skte hai.
NOTE: Bijli connection ka Account Number apke Bijli ke bill par likha hoga. Jo apko phle recieve huye hai.
- Account No ya registered phone bhar kar apko niche diye captcha ho bharna hai, iske bad apko View par click karna hoga.
- Eske bad apka bijli connection ka account open ho jayega. Or apki sabhi details apke smane aa jayegi jaise Name, Bill Amount, etc. Jaise ki niche image me dikhya gya hai.
- Upar image me aap dekh skte hai, apko do option mil jayege.
- PAY NOW: Es par aap click karke apna bijli ka bill online bhar sakte hain.
- VIEW BILL: Es par click karke aap apna bijli ka bill online check or download kar skte hai apne mobile ya pc me.
Tab Friends, aap is Trah se apna bijli ka bill up me online check or download kar skte hain (How to download electricity bill online in up). Umeed Karta hun apko smjh aa gya hoga fir bhi apka koi question hain. Tab aap mujh se comment karke puchh sakate hai. THANK YOU
Video Tutorial in Hindi
[youtube id=”L-iIwfyr9MQ” width=”600″ height=”340″ position=”center”]