Hello, dosto mai Ravi Thakur apni website tecnoravi.in me apka welcome krta hun. Dosto agar aap ghar baithe apne mobile ya computer se gas subsidy check krna chahte hain. Tab ye post apke bahut kam ki hain, kyuki aaj ki post me esi topic par bat karne wala hun. Jaise Gas Subsidy Online Kaise Check Kare or गैस सब्सिडी कैसे चेक करे.
Friends aap bahut hi asani se apne registered phone ya LPG Id se gas ki subsidy ki puri jankari dekh skte hain. Jaise gas ki subsidy kab Aai hai, kon se bank account me Aai hain, etc. Dosto apka gas chahe kisi bhi company ka ho matlab, Aap Indian gas or Bharat gas dono ki subsidy dekh skte hai. Bus apko kuchh niche diye step follow krna hai.
- You May Also Like: Check Bank of Baroda bank balance by missed call
Gas Subsidy Online Kaise Check Kare?
- Sabse phle apko official website par jana hai. Website ka link niche diya hai.
- Iske bad apko apna gas select krna hain ki kon sa gas hai “bharat gas” ya “indian gas”, Jaise nichhe image me dekhaya gaya hain.
- Eske bad apko side me bahut sare link mil jayege. Unme se apko “Give Your feedback online” par click krna hai. Jaise niche image me dikhaya gya hain.
- Eske bad bad apke samane niche diye gai image ki trah interface hoga. Jisme apko kuchh details dalani hain, Apni gas ki subsidy dekhne ke liye.
- Aap apna “Registered phone number” bhar skte hai. Registered phone boi hoga jis mobile number se aap apni “Gas booking” krte hai. Phone number na hone par, aap “LPG ID” bhar skte hai. ya aap “last me jo option” hai uska bhi use kr skate hain. Esme sbse jada asan trika, aap apna registered number bhare.
- Phone number dalane ke bad apko “feedback type” pr click krna hai. Eske bad apko “complaint option” ko select kr lena hai.
- Ab eske bad apko “Next” pr click krna hoga.
- Jaise hi aap next pr click krege apke samane “Gas Account holder” ka name, address sari details nikal kr aa jayegi.
- Thoda upar jane par apko account ki history mil jayegi Jaha pr aap ‘Gas ki subsidy check kr skate hain. Apko sari gas ki subsidy ki details mil jayegi jaise subsidy kab aai hai, kitni aai hai, kon se bank account me aai hai, etc. Jaisa ki niche image me dikhaya gya hain.
Tab dosto aap is tarh apne gas ki subsidy online dekh skte hai (Gas Subsidy Online Kaise Check Kare). Umeed krta hun apko smjh aa gaya hoga. Fir bhi apka koi sabal hai eske relative me, tab aap mujh se comment krke puchh skte hain. Jada asani se smjhane ke liye niche di gai video tutorial ko bhi dekh skte hai. THANK YOU.