Kya aap truecaller app se apne phone number ko hatana (how to remove number from truecaller) Chahte Hain, agar ha tab Aap ekdam Sahi website per Aaye Hain. Kyunki aaj ke post me main esi topic per baat karne wala hun. Namaskar dosto main Ravi Thakur ek Bar fir se apni official website tecnoravi me welcome Karta hun.
Friends agar aap ka phone number truecaller ke database me save hai aur aap use remove karna chahte hain. tab yah kam ab bahut hi Aasan ho gaya hai, Aap bahut hi aasani se apne mobile number ko Truecaller ke database se delete kar sakte hain.
Aaj ke article Me Main aapko pura process bataunga ki aap truecaller se kisi ka number kaise delete kar skte hain. Niche Maine aapko Sabhi steps bataye Hai, aapko bus un sabhi steps carefully follow karna hai.
You May Also Like: How to add password to pdf file in hindi
How to remove number from truecaller?
Dosto sabse pahle aapko apni device jo bhi aapke pas device Hai chahe mobile Ho chahe computer ho, aapko usme ek browser ko open karna hai. Aur uske bad google search bar me aapko “Truecaller unlist” type karke search karna hai.
Next step me, aapke spane jo bhi search result ayenge usme se pahli website jisme apko “How do I unlist my phone number” likha dekkhega use open karna hai. Halki is website ka direct link maine niche de rakha hai, aap Chahe us per click Karke direct website per Ja sakte hain.
Jaise website open hoti hai to aapko website ke sabse upar dekhne Ko Milega ki “you can opt out from our database through this link” tab dosto aapko jo hai is Diye Gaye link per click karna hoga. Click Karte hi ek next window open Hogi. Jaisa ki aap niche Diye Gaye image Me dekh sakte hain.
Doston jaise hi aap aap page Diye Gaye link per click Karte Hain. Aap jo hai Truecaller unlist number wale page per redirect ho Jaenge. Iske bad Aap Kisi Ka Bhi mobile number bahut hi aasani se Truecaller ke database se delete (delete number from truecaller) kar Payenge. Dosto aap Truecaller application ki help se bhi kisi ka bhi Number Ko caller se Hata sakte hain.
Friends, Aapke Samne ek chhota sa form open hoga, usme sabse pahle aapko ek number enter karna hai,jise Aap delete karna chahte hain. Number likhate time aap ko sabse pahle country ka code likhan jaise indian ke liye +91 Uske bad aapko phone number likhan hai.
Next step me aapko I am not Robot captcha ko fill karna hai aur last me aapko unlist phone number wale option per click kar dena hoga. Jaisi aap unlist phone number button per click Karte Hain Aapke Samne pop up confirmation message aaega jisme aapko unlist per dubra se click kar dena hai. Bus uske bad aapka phone number Truecaller se 24 hours ke ander successful delete kar diya jayega.
Tab dosto is Tarah Se aap Kisi ka phone number truecaller se delete kar sakte hain, maine aapko pura process Bata Diya Hai. Ummid karta hun aapko samajh me a Gaya hoga fir Bhi isse related aap koi bhi Jankari Chahte Hain ya Kuchh Bhi puchna Chahte Hain tab aap mujhse comment Karke poochh sakte hain.
Friends Agar aapko yah post Pasand aya hai to Abhi ke abhi is post ko Apne dosto me share kijiye aur Aage Bhi isi type ki post padhne ke liye aap Hume subscribe kar sakte hain aur Instagram, Facebook, YouTube per follow bhi kar sakte hain. Thank you