Hello, dosto agar aap majduri karte hai mtlb aap ek labour hai or aap sarkar ki sabhi Govt. Scheme ka fayda uthana chahte hai. tab apke pas labour card hona chahiye. Aaj ki post me labour ke bare me batane wala hun Jaise Majdur card kya hai or Labour Card Kaise Banaye.
Majdur Card Kya Hai?
Dosto Central or state govt. ki traf se time to time bahut si yojnaye majduro ke liye ati rahti hain. Jinka fayda uthane ke liye majdur ke pas Majdoor card hona chahiye. Agar aap ek majdur hain or sarkari scheme ka benefits lena chahte hain. Tab apko Majdur card ban ba lena chahiye (Labour Card Kaise Banaye). Jisse aap sarkar ki sabhi yojanye jo majduro ke liye hain unka labh seetha aap utha sake. Niche mai ese banane ka pura process bataya hun.
- You May Also Like: PM Shram Yogi Maandhan Yojana Kya hai
Requirement documents for labour card
- Aadhar card
- one passport-size photo
- Bank passbook
- Nyojak Certificate – Download here
Fee For Majdur Card
- For 1 Year – Rs. 20 Registration + 20 Renewal = Total Rs. 40
- For 2 Year – Rs. 20 Registration + 40 Renewal = Total Rs. 60
- For 3 Year – Rs. 20 Registration + 60 Renewal = Total Rs. 80
Labour Card Kaise Banaye?
Dosto aap Majdoor card do method se banba sakte ho offline or online dono hi method niche maine samjhaye hain.
Offline
Shramik card aap kisi bhi janseva center par ja kar offline banaba skte ho, bina kisi probelm ke. Bus apko apne sabhi documents jo uppar diye ho le kar jana hain. Apka kaam ho jayega.
Online
Dosto aap Shramik card online bhi bana skte hai ghar baithe apne mobile, laptop, computer Kisi ki bhi help se. Har state me alag alag website hai majdur card banane ke liye, lekin process same hai. Aaj ki post dekhne ke bad aap apni state me bahaut asani se labour-card online bana skte hain. Filhal up me labour card online apply karne ka pura process niche diya hain.
Labour card online apply up
- Up me Shramik card online apply karne ke liye sbse phle apko official website par jana hain. Niche official website ka click diya gya hain.
- Eske bad apko Shramik coner me jana hain iske bad apko shramik registration par Click Karna hai.
- Eske bad apko registration from bharna hain. Jaisa ki niche diya gya hain.
- Registration complate hone ke bad apko user id or password mil jayega. Or apke phone par bhi apko user id or password bhej diya gya hoga.
- Eske bad apko login par click karke login ho jana hai.
- Aap apne dashboard me login ho jaoge. fir apko side me shramik form mil jayega. Us par click karna hai.
- Eske bad apko form ko pura achche se bhar lena hain. agar aap pura form bharna sikhana chahte hain tab apko niche ek video tutorial mil jayega, usme mai pura form bharna sikhaya hun.
- Eske bad apko submit and pay par click karna hai.
- Payment karte hi apka payment status update ho jayega or apki application successful submit ho jayegi.
- Application submit hone ke bad, agar sb kuchh form me sahi hai tab apka form 3 days bad automatic accept ho jayega. Agar kuchh galt hai form me tab apko bata diya jayega, aap sahi karke dubara apply kar skte hai.
How to download labour card
Dosto jaise hi apka form accept ho jata hai. Uske Kuch din bad apak labour card generate ho jayega. Fir aap labour certificates me ja kr use download karke print nikal ba skate ho.
Tab aap is trah up Majdur card online apply kar skte hai (Labour Card Kaise Banaye). Umeed Karta hun, apko smjh aa gya hoga fir bhi apka koi question hai tab aap mujh se puch skte hai. THANK YOU