Hello, Dosto mai Ravi Thakur apni website tecnoravi me apka welcome karta hun. Dosto agar apka account bob bank me tab or apki bank se relative koi problem hai. Uske liye aap online complaint karna chahte hai tab ye post apke liye bahut kam ki hai. Kyuki aaj ki post me mai apko bob bank me online sikayat karne ka pura process batane wala hun. (Bank of Baroda me online Complaint Kaise Kare or How to Online Complaint in Bank of Baroda).
Dosto agar apki bob bank se realtive koi problem hai or bar bar bank me jane ke bad bhi apki problem solve na ho rhi hai. Tab is condition me aap ghar baithe apne mobile ya computer ki help se complaint kar skte hain. Niche maine online sikayat ka Pura process bataya hun, bus apko usko follow Karna hain.
- You May Also Like: Online Complaint in SBI Bank
Bank of Baroda me online Complaint Kaise Kare?
Bank of Baroda me aap do trah se apni complaint registered kara sakte hai. Ek to aap direct bob ke customer par call kar ke and dusara aap khud complaint form bhar kar, dono process niche di gai hain.
By Customer Care
Dosto aap direct bob customer care se bat karke apni complaint dal skate hai. Bus apko niche diye toll-free number par call Karna hai. Uske bad customer care wale apse kuchh apse details lenge account verify ke liye jaise apka pura name, apki date of birth, apke aadhar card / PAN Card number, etc. Uske bad jo bhi apki problem hai, bo bata kar aap apni complaint registered kar skte ho. Complaint registered hone ke bad apke phone pr complaint number mil jayega.
1800 258 44 55
1800 102 44 55
By Complaint Form
Dosto aap khud bhi complaint form bhar kar ke online sikayat kar skte hai. Eske liye sbse phle apko niche di gai bank of Baroda ki official website par Jana hai.
- Eske bad apko upar kone me contact us ka option dikhega us pr click kijiye.
- Fir apko niche ana hai, or apko Online Complaints/Feedback/SPGRS is par apko Click Karna hai.
- Eske bad apko do option milege, phle submit caomplaint and dusra track complaint, agar apne phle se koi sikayat ki hai. Tab aap track complaint pr click kar ke bob complaint ka status check kar skte ho. Agar aap new complaint karna chahte ho to aapko submit complaint par click karna hain.
- Eske bad apke samane bob bank complaint form aa jayega. Es form ko sahi se apko bhar lena hai. Agar aap form kaise bharna hai ye janana chahte ho. Tab aap niche di gai video tutorial ko dekh skte ho, us video me bob complaint form bharna bataya hun.
- Pura form bharne ke bad apko niche diye gye submit par click karna hai. Eske bad apke bank account se link phone par complaint number apko mil jayega. Jiski help se aap apni complaint track kar skte hai.
NOTE: Complaint Karne ke bad apko 7 working days wait Karna hai.
Dosto tab aap is trah se bob bank me online sikayat kar skte hai. Umeed karta hun apko smjh aa gya hoga. Fir bhi koi problem hai tab aap mujh se comment kar skte puchh skte hain.
Mai samne ke account me upi se transfer Kiya tha and Abhi tak same vale ke account me paisa nahi Gaya jabki mere account se paisa kat Gaya hai
₹350. Date. 16.04.2021. 6:6pm
Sar Mein UP ke Madhyam se ₹350 rupaye Ke transfer kiya tha jo ki abhi tak Jinke account mein main transfer kiya tha unke account mein abhi tak vah Paisa Nahin pahunch Paya Hai Lekin Mere account se vah Paisa cut chuka hai tarikh 16.04.2021 ko taransafar Kiya tha