Hello, dosto mai Ravi Thakur apni website Misterkaise me apka welcome krta hun. Dosto agar aap ek kisan hai or apne Pm kisan samman nidhi yojana me avedan kiya hai. Tab ye post apke liye kam ki ho skti hai. Kyuki aaj ki post me mai apko bataoga ki aap kaise ghar baithe online Pm kisan samman nidhi yojana ka paisa check kr skte hai (Kisan Samman Nidhi Yojana Ka Paisa Kaise Check kare).
Dosto, Jaisa ki hum sab jante hai central government ne pm kisan yojana chalu ki hai. is yojana me kisno ko 1 sal me 6000/- rupay diye jane hai. Ye rupay teen kist me (2000/-) diye jane hai. Ese me aap kaise jan payege ki apki kist bank account me aai hai ya nhi (pm kisan samman yojana list kaise dekhe). Esi ki puri jankari aaj ki post me mai apko bataoga. Agar apne abhi tak pm kisan yojana me avedan na kiya hai. Tab niche kisan yojana me online avedan ka link mil jayega. Waha se aap online avedan kar skte hai.
- You May Like Also: PM Kisan Yojana me Online Apply Kaise Kare?
Kisan Samman Nidhi Yojana Ka Paisa Kaise Check kare
- Sabse phle apko official website pmkisan.gov.in par jana hai. Website ka link nichhe diya gya hai. Aap us pr click krke direct website pr ja skte hai.
- Iske bad apko Beneficiary Status me jana hai. Uske bad apke samane ek form open ho jayega.
- Es form me apko teen chije mil jayegi. Agar apke teeno chijo me se ek bhi chij hai tab aap Apni kist check kar payege.
- Apko apna Aadhar card ya Bank Account Number ya mobile dal kar Get data pr click kr dena hai.
- Click krte hi apke smane puri details nikal kar ayegi farmer ki or niche farmer ke kist ki puri details likhi hogi. Jaise kist kon si date me aai, kon se bank account me aai etc.
Dosto aap is trah se Kisan Samman Nidhi Yojana Ka Paisa Kaise Check kare kr skte hai. umeed krta hun apko smjh a gya hoga. Fir bhi apka koi sabal hai ya aap kuchh pochna chahate ho tab aap mujh se comment krke puchh skte hai. jada asani ke liye apko nichhe ek video tutorial bhi mil jayega. THANK YOU