Pradhan Mantri Ujjwala Yojana Kya hai or Apply Kaise Kare ?

Friends, mai Ravi Thakur apni website tecnoravi me apka welcome karta hun. Dosto, agar apke ghar me Gas connection nhi hai, or aap Gas connection lene ke liye Pradhan Mantri Ujjwala Yojana in Hindi (प्रधानमंत्री उज्ज्वला योजना) me registration karna chahate hai. Tab ye post apke bahut kaam ki ho sakti hai. Kyuki aaj ki post me mai apko es yojana ki puri jankari dene wala hun Jaise Pradhan Mantri Ujjwala Yojana Kya hai, Ujjwala Yojana me kaise apply kare, Eske liye kaun kaun se documents chahiye, etc. 

Pradhan Mantri Ujjwala Yojana

Pradhan Mantri Ujjwala Yojana Kya hai?

Dosto, yah yojana 1 May 2016 ko Pm Narendra Modi ne launch ki. Es yojana me Saal 2019 tak lagbhag 5 crore Family ko, special poor family ko free me Gas calendar Connection diye jane hai. Scheme ka target har gareeb Pariwar me LPG Connection Pahuchana hai.  

Scheme Ke Kya Fayde hain?

Dosto es Scheme ke tahat apko koi paisa na dena hai. Apko free me LPG Gas connection diye Jayega, or BPL Pariwaro ko Gas connection Rs. 1600/- ke sath Pradan kiya jayega. Scheme me apko Chulhe or Refill ki Lagat ke liye EMI Ki Suvidha bhi di Jayegi. 

Ujjwala Scheme Ki Limitation

Dosto, Es scheme ke liye kuchh Sharte Bhi hai, Jo niche di gai hain:-

  • Avedak Mahila Hona Chahiye.
  • Mahila ki age 18 Saal se Jada hona Chahiye.
  • Mahila BPL Pariwar se hona Chahiye.
  • Mahila ke Pas BPL Rashan Card Hona Chahiye.
  • Mahila Ya Uske Pariwar me Kisi ke Naam Par Phle se Gas Connection Nhi Hona Chahiye.

Eligibility For Ujjwala Scheme

Dosto Ujjwala Scheme me apply Karane ke liye apko Sabse Phle apna naam 2011 ki Janganna (2011 की जनगणना) ki list me dekhna hoga.  Agar apka Naam List me hai, tabi aap Is Yojana me apply Kar Sakte hai Barna Nhi.

NOTE:- ये लिस्ट आपको गैस एजेंसी पे मिल जाएगी

Document Requiment For Ujjwala Yojana

Dosto, Es Yojana me avedan Karne ke liye apke Pas Niche diye gye Dastavej hona chahiye:-

  • Aadhar Card.
  • BPL Rashan Card.
  • Bank Passbook Photo Copy.
  • Mobile Number.
  • Passport Size Color Photo.

Pradhan Mantri Ujjwala Yojana Me Apply Kaise Kare?

Dosto Ujjwala Scheme me Avedan Karne ke liye apko Niche diya form Download Karna hai. Sbse phle, Form apko English or hindi dono Language me mil Jayega, form download Karne ke bad. Us form sahi se Bhar Lena hai, fir iske bad Sare Documents ki photocopy laga Dena hai. Eske bad apko form ko Apne Najdiki Gas Agency (करीबी गैस एजेंसी) Par Le Ja Kar Jama Kar Dena hai. Fir Kuchh din bad apko apke Naam se Gas Connection de Diya Jayega. Tab dosto ye thi “Ujjwala Scheme in hindi” ki puri jakari, eske elava apka koi question hai tab aap mujh se comment kar ke puchh skate hai. THANK YOU

 

 

Video Tutorial in Hindi

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Scroll to Top

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading