Do you want to Generate SBI ATM Card Pin Through SMS then, you have to come to the right place? Hello, dosto Mai Ravi Thakur Apni website misterkaise me apka welcome Karta hun. Dosto agar apke pas sbi atm card hai or aap uski pin bhool Gaye hai. Ya aap Kisi wajah se apne debit card ki new pin ko generate ya change Karna chahate hai. Tab es post ko pura padhiye kyuki Aaj ki post me debit card pin change ka Pura process bataya hun SMS ki help se.
Dosto, aap apne sbi debit card ka new PIN bana skte skte bo bhi ek sms bhej kar. Bus apko apne bank account me registered phone number se ek sms sent karna hain. Uske bad aap bahut asani se debit card ki new pin generate kar skte hain. SMS me apko kya likhana hai or kis number par apko sms ko bhejna iski puri jankari niche diya hun.
- You May Also Like: Get SBI Statement by SMS
How To Generate SBI ATM Card Pin Through SMS?
STEP 1
Dosto sbse phle apko one-time registration karna hai,sms service ke liye. Agar apne phle hi registration kar liya hain. Tab aap direct second step follow kar skte hain. SMS bhej kar apko registration Kaise Karana Eski puri process niche diye link me hain.
STEP 2:
Dosto iske bad apko apni sbi bank me link phone number se ek sms krna hai. SMS me apko capital latter me PIN likha kar ek space dena hain. Fir apko LAST 4 DIGIT OF ATM CARD likh kr fir se space dena hain Or LAST 4 DIGIT OF SBI ACCOUNT NUMBER likh dena hai. Or Es sms ko niche diye number par bhej dena hain.
PIN <space> CCCC <space> AAAA
SENT TO 567676
Note: Here CCCC is the last 4 digits of sbi Debit Card number annd Here AAAA is the last 4 digits of bank account number.
Friends SMS bhejne ke bad apko Thoda wait Karna hai. Thode time bad apko bank me registered number par Ek OTP Receive Hoga. Jise GREEN PIN Kahte hai. Ese apko Sahi se save karke rakh lena hai. Kyuki esi green pin (OTP) ki help se aap apne atm card ki new pin generate karege.
NOTE: OPT (GREEN PIN VALID FOR 24 Hours
Jaise apke Green Pin Mtlb OTP Mil Jata hai. Uske bad apko apne pas SBI ATM me jana hain. Kyuki aage ka Process apko SBI ATM me hi karna hain. Jo niche diya gya hai use pura follow kijiye.
- Sbse phle apko apna sbi ka atm card lagana hai. Jiske liye apne Green Pin Magai hain.
- Eske bad apke Samane bahut sari sbi bank ki Service show hogi. Esme se apko BANKING Wale option par click karna hai. Jaise ki niche image dikhaya gya hain.
- Eske bad apse PIN Enter karne ko bolega. Tab apko apni Green Pin Mtlb apke phone par jo OTP Aya hai use dalana hai. Apko bilkul sahi se pin ko dalana hai. Jaise ki niche image me dikhaya gya hain.
- Eske bad apke samane bahut sare option show honge. Unme se ek option hoga PIN CHANGE ka us option par click karna hai. Jaise niche image me dikhaya hain.
- Eske bad apko new pin enter karne ke liye bolega. Apko jo pin rkhna hai bo 4 digit ki pin enter kar dijiye. Jaise ki image me niche dikhaya hain.
- Eske bad apko pin re-enter krne ko bolega. Apne jo new pin banai hai use dubara se dal dena hai.
- Eske bad apne samane pin successfully changed ka message aa jayega. Or Aap apne debit card ko new pin ki help se ab use kar skate hain.
Tab dosto aap is trah SBI DEBIT-Card ki pin badal skte hai ( Generate SBI ATM Card Pin Through SMS ). Umeed karta hun apko smjh aa gya hoga. Fir bhi aap kuchh puchhna skte hai. Tab aap mujh se comment krke puchh skte hai. THANK YOU