Do you Want to link aadhar card with sbi bank account through SMS then you are reading the right post. Hello, Dosto Mai Ravi Thakur apni website Misterkaise me apka welcome Karta hun. Dosto agar apka bank account, state bank of India me hai, or apke account se Aadhar card link nhi hai. Tab ye post apke liye hai. Kyuki aaj ki post me mai apko batana wala hun ki aap ghar baithe apne phone se ke sms bhej kar aadhaar card kaise jod skte hain.
Dosto, jaisa ki hum janate hai ki bank me aadhaar card link hona bahut important hai aaj ke time me. Friends apko ab aadhaar card link karne ke liye apni bank me jane ki jarurat nhi hai. Aap apne bank me registered phone se bhi sms bhej kar adhaar card bank se jod skate hai. Eski puri process niche mai bataya hun.
- You May Also Like: Online Complaint in State Bank of India
How to link aadhar card with sbi bank account through SMS?
Dosto state bank of India me aadhar card jodne Ke Liye apko do step follow karne hai….jo niche diye gye hai.
STEP: 1
Dosto, sbse phle apko one-time registration krana hai, state bank of India SMS service ke liye. Ye apko bus ek bar karna hota hain, uske bad aap sabhi sbi sms service ka fayda utha sakte hain. Registration ke liye apko ek SMS bhejna hai. Apne bank me jo phone link hai usse. Agar apne phle hi registration kar liya hain. Tab apko dubara karne ki jarurat nhi, aap direct STEP 2 ko follow kijiye. Niche ek link Diya hai, usme sbi me registration ki puri process di gai hai.
How to Registration for SBI SMS Service
STEP: 2
Friends apko apne bank account se link phone se hi jise apne state bank of India SMS service ke liye registered karaya hai. Usse hi ek sms sent karna hain. SMS me apko capital latter UID likh kar ek space dena hai. Eske bad apko apna pura aadhar number likh dena hain. Fir se ke space dena hain fir apna sbi bank account pura likh dena hai. Eske bad sms ko niche diye number par sent kar dena hai, jaisa ki niche dikhaya gaya hain.
UID <space> Aadhar Card (full) <space> A/C No. (full)
Sent to 567676
Sms sent hone ke bad thode time bad apko bank ki traf se sms mil jayega. Usme apko bata diya jayega ki apka aadhar card successfully link huaa hain. Ya nhi agar nhi huaa hain to ku na huaa, iska reason bata dega sbi sms bhej kar apko.
Tab dosto aap is trah apni sbi bank account me Adhaar card jod skte hai ( link aadhar card with sbi bank account through SMS ). Umeed Karta hun apko smjh aa gya hoga. Fir bhi koi apka question hai is se relative me tab aap mujh se commnet karke puch skte hai. THANK YOU