SBI Bank Statement Kaise Nikale ( 6 months sbi statement )

Kya aap janana chahate ki SBI Bank Statement Kaise Nikale ( sbi account statement ) tab yah post apke liye hi hai . Hello, freinds mai Ravi Thakur apni website Misterkaise me apka welcome krta hun. Dosto agar apka bank account sbi bank me hai tab ye post apke bahut kam ki hai. Kyuki aaj ki post me apko batane wala hun ki aap kaise last 6 month ka sbi bank statement apne mobile se nikal skte hain. 

SBI Bank Statement Kaise Nikale

Friends aap bilkul free me last 6 month ka state bank of india bank statement ek sms ko bhej kr nikal skte hai. Bus apke do chije hona chahiye jinki help se apko sbi bank ka statement pdf ke format me mil jayega. Nichhe dikhe.

  1. Apke pass state bank of India me registered phone number hona chahiye. Kyuki usi phone se apko sms bhejna hai.
  2. Apke pass state bank of india bank me Registered email id hona chahiye. Kyuki statement ki pdf file apke registered email id par hi bheji jayegi.

Note: agar apke sbi bank me koi email id registered nhi tab aap sms ki help se statement na nikal payege. Apko branch me ja ek email id update krna hogi. Tab hi aap sms se sbi statement nikal payege. Lekin aap bina email id se sbi mini statement nikal krte hain. Uske liye niche link diya, us pr click krke aap state bank of india mini statment nikala sikh skte hain.

How to Get 6 months bank statement sbi by sms

Dosto apne registered mobile se last 6 month sbi statement nikale ke liye apko do step follow krne honge. dono step mai niche bataya hun. 

STEP 1: 

Apko sbse phle sbi sms service ke liye one time phone registered karna hoga. iske liye apko bank me link phone se hi apko ek sms bhejna hai. Sms bhejte hi apka sms service ke liye phone us bank account ke liye registered ho jayega. Uske bad aap sbi bank ki sabhi sms service ka labh utha skte hai. Phone number ko registered krne ki puri process nichhe diye gaye post me hai. Aap link par click krke puri process padh skte hai. 

Registered Phone In SBI bank by SMS

STEP 2: 

Phone Registered hone ke bad apko isi phone se ek sms bhejna hai. SMS me kya likhna ye nichhe diye hai. Apko same baise likh kr niche diye gaye number par sms ko bhej dena hain. 

 

 ESTMT <space> Account No. <space> Code 

 sbi statement number: 09223588888 

 

NOTE: Dosto yaha par Code apko apni merji se koi sa bhi 4 digit ka likh dena hain. Ye code hi apko jo statement ki pdf file bheji jayegi uska password hoga. Jaise hi aap statement ki pdf ko khologe apse ek password magega tab apko is code ko dal dena hai ok.

Dosto Jaise hi aap sms sent karege, thodi der me sbi bank ki traf se apke registered email id pr ek mail aa jayega. Usme apko ek pdf mil jayegi. Jo apke bank account ka last 6 month ka statement hain. 

Dosto aap is trah se apne mobile se “sbi bank statement kaise nikale”  nikal skte hai. Umeed karta hun apko smjh aya hoga. Fir koi question hai tab aap mujhse comment krke puch skte hai. THANK YOU

 


 

SBI bank statement kaise nikale video tutorial

4 thoughts on “SBI Bank Statement Kaise Nikale ( 6 months sbi statement )”

Leave a Comment

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading

Scroll to Top